Kismat Shayari

Nam thi aakhe muskrate hue lab the magar,
Jane dono mai kaun saccha kaun jhoota tha.
Sikh kar hamse wafa karna rakibo se,
Hame bala ki uski sadgi ne loota tha.
Mehfooj samge the hum dil jise soapkar,
Hai ri kismat usi ke hath se toota tha.
Yaad nahi wo rutha tha ya mai rutha tha,
Sath hamara jara si baat pe choota tha.
?Kismat? Per Aitbar Kisko Hai
Mil Jaye ?Khushi? Inkaar Kisko Hai
Kuch ?Majburiyan? Hain Mere Jaan
Warna, ?Judai? Se Pyaar Kisko Hai
Hamari Kismat To Aasman Per Chamkty Huwe Sitaron Ki Tarah Hai..!
Log Apni Tamana K Liye Humare Tootne Ka Intezar Karte Hain..!
Main Tujhko Samajh Nahi Pata,
tum Apne ho Yaa Paraye Sanam.
naa Meri Takdeer se Door Jate ho,
naa Paas Kabhi hi Aaye Sanam.
Kismat Humko Aajmati Rahi,
naa Aakar Kabhi wo Rulati Rahi.
Mout Aayi to wo bhi is Tarah,
Aakar Kareeb se Gujar Jaati Rahi,
Mujhe Duniya ab Sataane Lagi,
Kismat ho gar tu Mil jaa Yaar Mere.
naa koi Mera Hai bin Tere,
fir Zamkh tu hi sil jaa Yaar Mere.
Nahi Tujhsa Duniya me Koi,
Main Tera Deewana yu hi Nahi.
bas Kisimat se Afsos hai Mujhe,
Tere dil me Mera Thikana Nahi.
Tere Pyaar me Dooba Rehta hu,
Teri Yaad me Khoya Rehta hu.
Meri Kismat to Dekh Kabhi Raat me Aankh Nahi Lagati,
Kabhi Din me bhi Soya Rehta hu.
Bahte Ashkon Ki Zubaan Nahi Hoti
Lafzon Mein Mohabbat Bayaan Nahi Hoti
Mila Hai Pyaar To Kadar Karo
Kismat Har Kisi Par Meherbaan Nahi Hoti
Na Koi Kisi Ke Paas Hota Hai
Na Koi Kisi Ke Dur Hota Hai
Pyar Khud Chalkar Aata Hai
Jab Koi Kisi Ka Naseeb Hota Hai
Bujhi Shamaa Bhi Jal Sakti Hai
Toofan Se Kashti Bhi Nikal Sakti Hai
Ho K Maayus Youn Na Apnay Iraday Badal
Teri Qismat Kabhi Bhi Badal Sakti Hai
Hum Toh Har Ek Ko Apnakar Rishtha Banate Gaye.
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai,
Gunegar Koi Aur, Hum Saza Paate Gaye.
Mana K Nasib Me Hamare Koi Sanam Nahi
Phir Bhi Koi Shikwa Koi Ghum Nahi
Tanha Hai Phir Bhi Jiye Ja Rahe Hai
Kyouki Badnasib To Wo Hai,Jinke Nasib Me Hum Nahi.
Jab Kabhi Aankh Mein Ashque Bhar Aye
Kuchh Log Dubte Nazar Aye
Hum Intzar Kar Rahe The Barson Se Jinka
Mera Naseeb Hai Ki Aaj Wo Udher Aye
Tanha Tha Is Duniya Ki Bheer Me
Socha Koi Nahin Mery Taqdeer Me
Aik Din Aap Ne Dosti Ka Hath Barhaya
To Laga Kuch To Khas Tha Hato Ki Lakeer Me
Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hai.
Guzri Hui Zindagi Ko Kabhi Yaad Naa Kar,
Taqdeer Mein Jo Likha Hai Uski Fariyaad Naa Kar,
Jo Hona Hai Vo Ho Kar Rahega….
Tu Fikr Mein Apni Hansi Barbaad Naa Kar
Dheeme Saroo Me Koi Mudhar Geet Cheriye
Tehri Howi Hawaoo Mein Jadoo Bhekherye
Daman-e-Shab Ke Naam Koi Roshni To Ho
Tare Nahi Naseeb To Aansu Bhekherye
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hai
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hai
Tum Toh Mere Chaar Ansu Na Badal Sake
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hai
Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai
Sare Sapne Kahi Kho Gaye
Haye Hum Kya Se Kya Ho Gaye
Dil Se Tanhai Ka Dard Jeeta
Kya Kahe Hum Pe Kya Kya Na Bita

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *